aisa bana diya tujhe qudrat khuda ki hai kis husn ka hai husn ada kis ada ki hai chashm-e-siyah-e-yar se sazish haya ki hai laila ke sath mein ye saheli bala ki hai taswir kyun dikhaen tumhein nam kyun bataen lae hain hum kahin se kisi bewafa ki hai andaz mujh se aur hain dushman se aur dhang pahchan mujh ko apni parai qaza ki hai maghrur kyun hain aap jawani par is qadar ye mere nam ki hai ye meri dua ki hai dushman ke ghar se chal ke dikha do juda juda ye bankpan ki chaal ye naz-o-ada ki hai rah rah ke le rahi hai mere dil mein chutkiyan phisli hui girah tere band-e-qaba ki hai gardan mudi nigah ladi baat kuchh na ki shokhi to khair aap ki tamkin bala ki hai hoti hai roz baada-kashon ki dua qubul ai mohtasib ye shan-e-karimi khuda ki hai jitne gile the un ke wo sab dil se dhul gae jhepi hui nigah talafi jafa ki hai chhupta hai khun bhi kahin mutthi to kholiye rangat yahi hina ki yahi bu hina ki hai kah do ki be-wazu na chhue us ko mohtasib botal mein band ruh kisi parsa ki hai main imtihan de ke unhen kyun na mar gaya ab ghair se bhi un ko tamanna wafa ki hai dekho to ja ke hazrat-e-'bekhud' na hun kahin dawat sharab-khane mein ek parsa ki hai