aisa ek maqam ho jis mein dil jaisi virani ho yaadon jaisi tez hawa ho dard se gahra pani ho ek sitara raushan ho jo kabhi na bujhne wala ho rasta jaana-pahchana ho raat bahut an-jaani ho wo ek pal jo bit gaya us mein hi rahen to achchha hai kya malum jo pal aae wo fani ho lafani ho manzar dekhne wala ho par koi na dekhne wala ho koi na dekhne wala ho aur dur talak hairani ho ek ajib saman ho jaise sher 'munir'-niyazi ka ek taraf aabaadi ho aur ek taraf virani ho