aisa hua hai yar mere imtihan se KHush

aisa hua hai yar mere imtihan se khush
bulbul ho jaise wasl-e-gul-e-bostan se khush

gungi se kya hai lutf-e-mulaqat hazz-e-nafs
wo khud hi jaanwar hain jo hain be-zaban se khush

ustad bhi hain yar bhi hain ba-mazaq bhi
kyunkar na dil ho shaikh mohammad zaman se khush

ai mama chhed bhed kuchh is mein zarur hai
bibi se tu khafa hai magar hai miyan se khush

be-uzr hain kabhi unhen inkar hi nahin
har baat mein wo rakhte hain aashiq ko han se khush

is baat ka hai hum ko 'inayat' bahut khayal
na-khush wo ek zamane se hain kale khan se khush


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close