aisa lagta hai mere dil pe nazar rakhte hain mere shane pe mohabbat se wo sar rakhte hain un ko aata hai mohabbat ko chhupane ka hunar dil wo rakhte hain ba-andaz-e-digar rakhte hain raushni hoti hai jab baat wo karte hain kahin fikr mein apni jo anwar-e-sahar rakhte hain khud-ba-khud milta hai un logon ko manzil ka pata jo qadam rah pe be-khauf-o-khatar rakhte hain aae wo jis ki adaon mein hai khubi-e-chaman apne dil mein yahi arman gul-e-tar rakhte hain hum ko malum hai is waqt kahan hai wo 'suhail' be-khabar khud se hai hum us ki khabar rakhte hain