aisa lagta hai mukhalif hai khudai meri koi karta hi nahin khul ke burai meri mujh mein madfun bade shahr-e-maani the magar dur tak kar na saka waqt khudai meri be-sada shahr tha khamosh the galiyon ke makin ek muddat mujhe aawaz na aai meri khair-khwahi ka raha yun to sabhi ko dawa chahta bhi to koi dil se bhalai meri shab ki dahliz pe qazzaq zarurat to nahin chhin leta hai jo din-bhar ki kamai meri kuchh mere ilm ne bhi mujh ko fazilat bakhshi fan se nisbat ne bhi tauqir badhai meri mujh ko mujh tak hi na mahdud samajhna 'saifi' la-makan se bhi pare tak hai rasai meri