aisa mahsus kar raha hun main jaise is shahr mein naya hun main apni khushbu se khauf aata hai kin hawaon mein ghir gaya hun main teri kuchh aur baat hai warna sath apne bhi kam raha hun main khal-o-khad pe na apne ghaur karo mujh se rutho ki aaina hun main uf ye kaif-e-fasana-ha-e-junun likh raha hun mita raha hun main koi mausam ho ab mujhe kya fikr barg hun shakh se juda hun main hun 'munawwar' bura to main lekin kaun jaane ki kyun bura hun main