aisa manzar to kabhi dekha na tha raushni mein bhi mera saya na tha pyar ke baadal to guzre the magar dil ke sahra mein koi barsa na tha umr-bhar padhta raha aisa bhi khat tu ne mere nam jo likkha na tha jism ki diwar ek thi darmiyan main ne pa kar bhi tujhe paya na tha yun to shabnam tha magar ai dosto main kisi bhi phul par bikhra na tha maut sine se laga lene ko hai zindagi ne haal tak puchha na tha ek hujum-e-mah-washan tha bazm mein bas wahi ek chand ka tukda na tha