aisa nahin ke wasl ka lamha na aaega lekin is intizar ke jaisa na aaega ye lab hi kya ye aankhen bhi ab puchhne lagin is raste mein kya koi dariya na aaega baithe raho udas yun zulfon ko khol kar is rut mein to hawaon ka jhonka na aaega pahle se hum bata den ki aaega sara jism dil tum pe aaega to akela na aaega aae nahin ki karne lage lautne ki baat tum hi batao aise mein ghussa na aaega basti ke sare bachchon ko kaise bataun main ab wo khilaune bechne wala na aaega so jao ai darkhto ki dhalne lagi hai raat chhodo umid ab wo parinda na aaega