aisa nahin ki tujhse shikayat nahin mujhe

aisa nahin ki tujh se shikayat nahin mujhe
khud ko ganwa ke teri zarurat nahin mujhe

is dagmagati naw pe sahil ki aarzu
aai samajh mein ab bhi siyasat nahin mujhe

pathraw ho raha hai meri samt is liye
kahta hun sach ki jhut ki aadat nahin mujhe

ab main jo multaji hun to wo multafit nahin
kahte hain bar bar ki fursat nahin mujhe

kuchh mujh mein buzdili ke anasir zarur hain
is se murad apni sharafat nahin mujhe

bahla raha hun khud ko gham-e-rozgar se
kya ab junun-e-shauq-o-mohabbat nahin mujhe

sab kuchh mafariqat ki riayat se kah diye
kahte the jo ki sabr-o-qanaat nahin mujhe

matlab-parast logon mein guzri hai ek umr
beja karam pe aap ke hairat nahin mujhe

makr-o-fareb-o-tana-o-tohmat se dur hun
mashhur ye hai khwahish-e-jannat nahin mujhe

milta hun ek tawarud-e-khatir ko shana-kash
maqsud is se dil ki hifazat nahin mujhe

shama-e-umid-e-wasl munawwar hai 'sarfaraaz'
tul-e-shab-e-firaq se wahshat nahin mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close