aise dekha hai ki dekha hi na ho jaise mujh ko teri parwa hi na ho baz ghar shahr mein aise dekhe jaise un mein koi rahta hi na ho mujh se katra ke bhala kyun jata shayad us ne mujhe dekha hi na ho ye samajhta hai har aane wala main na aaun to tamasha hi na ho yun bhatakne pe hun qane jaise raston mein koi dariya hi na ho raat har chap pe aata tha khayal uth ke dekhun koi aaya hi na ho kaise chhodun dar-o-diwar apne kya khabar laut ke aana hi na ho hain sabhi ghair to apna maskan shahr kyun ho koi sahra hi na ho yun to kahne ko bahut kuchh hai 'shuur' kya kahun jab koi sunta hi na ho