aise to koi tark sukunat nahin karta hijrat wahi karta hai jo baiat nahin karta ye log mujhe kis liye dozakh se daraen main aashiqi karta hun ibaadat nahin karta hum silsila-daron ke ho kyun jaan ke darpai kafir use kahiye jo mohabbat nahin karta lagta hai yahan maut nahin aani kisi ko is shahr mein ab koi wasiyyat nahin karta ye mujh ko batate hain ghazalan-e-tarah-dar achchha wahi rahta hai jo wahshat nahin karta 'tabish' ka qayamat se yaqin uth na gaya ho kuchh din se wo zikr-e-qad-o-qamat nahin karta