aisi bhi kahan be-sar-o-samani hui hai jo sab ko mujhe dekh ke hairani hui hai dil mein to teri yaad thi ek bund lahu ki aankhon mein jo aai to yahi pani hui hai qulzum ka hai ezaz ki tahdari ki har mauj is zulf-e-girah-gir ki diwani hui hai kya dhundne nikli hai kisi qais ko pagal is darja jo ye baad-e-bayabani hui hai aaseb-zada hain dar-o-diwar-e-shab-o-roz kis darja mah o sal ki virani hui hai boe hain bahut chashm-e-tamanna mein yahan khwab tab ja ke zamin dil ki ye barani hui hai