aisi karaKHt dhup thi chehre ujaD gae

aisi karakht dhup thi chehre ujad gae
kuchh log apne jism ke andar sikud gae

suraj ne badh ke tham liya hai nazar ka hath
jab bhi nazar ke panw zamin se ukhad gae

lafzon ki top soch ke hathiyar tham kar
aapas mein khud hi fan ke nigahban lad gae

jab se pahan liya hai ghamon ne naya libas
malbus chahaton ke bahut maile pad gae

mere badan mein zahr tabassum ka ghol kar
wo kaun the jo mujh se achanak bichhad gae

sachchai ke labon pe rakhe us ne lab magar
kuchh log be-sabab hi 'saba' se bigad gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close