aisi tadap ata ho ke duniya misal de ek mauj-e-tah-nashin hun mujhe bhi uchhaal de be-chehragi ki bhid mein gum hai mera wajud main khud ko dhundhta hun mujhe khad-o-khal de har lahza bante tutte rishte na hon jahan pichhli rafaqaton ke wahi mah o sal de kashkol-e-zat le ke na jaun main dar-ba-dar hajat-rawa ho sab ka wo dast-e-sawal de is dasht-e-pur-sarab mein bhatkun kahan kahan zinjir-e-agahi mere pairon mein dal de 'manzur' ka ye zarf ki kuchh mangta nahin marzi teri jo chahe use zul-jalal de