aisi tahrir jo aansu ki jhaDi sabit ho

aisi tahrir jo aansu ki jhadi sabit ho
phir tawaqqoa ki mohabbat bhi kadi sabit ho

kyon bichhate ho meri rah mein lafzi kante
do wo paigham jo moti ki ladi sabit ho

teri shamshir ka shakh-e-gul-e-ulfat pe ho war
kaise mumkin ki wo phulon ki chhadi sabit ho

be-niyazi teri badhti hi rahi roz-o-shab
teri furqat mein koi achchhi ghadi sabit ho

maut aani hai to aa jae kisi din lekin
zindagi bhi kabhi rahon mein padi sabit ho

kash aa jae yaqin meri mohabbat ka tujhe
meri chahat teri har shai se badi sabit ho

ruth kar jab main chalun rah-e-adam ki jaanib
rah roke teri aawaz khadi sabit ho

dil mein chahat hai 'ghazal' sirf tujhe pane ki
koi to wasl ki anmol ghadi sabit ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close