ajab aahang tha us shor mein bhi KHarch hui

ajab aahang tha us shor mein bhi kharch hui
meri aawaz-e-sukut-e-ajabi kharch hui

ek hi aan mein didar hua baat hui
khwahish-e-wasl sar-e-tur sabhi kharch hui

zindagi tere taaqub mein guzari hui shab
badi mushkil se mili aur yunhi kharch hui

subh tak zulf-e-siyah-rang ka jadu tha ajab
raat botal mein thi jitni bhi bachi kharch hui

subh uthte hi main kuchh dhup bharunga in mein
khwab dekhen hain to aankhon ki nami kharch hui

kitni tah-dar khala hai ye khala ke andar
aasman dekh ke nur-e-nazari kharch hui

kya hi achchhi thi kalai mein bandhi rahti thi
waqt ko dekhte rahne se ghadi kharch hui

badi virani sar-e-kucha-e-zulmat hai nasib
aap aae hain to thodi hi sahi kharch hui


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close