ajab faqir ho taj-e-jahaniyan tum ho hasir-e-khak pe masjud aasman tum ho hujum-e-nur mein khoya hua hai mera wajud siwa-e-ruh wahan kya hun main jahan tum ho darun-nigah ko tanha-rawi ka wahm nahin wara-e-parda to sarkhil-e-karwan tum ho hijab mane-e-ashkal-e-khirgi thahra nihan hue ho to kuchh aur bhi ayan tum ho junun hazar zaban hai magar kise malum ki jauhar-sukhan-o-hasil-bayan tum ho kabhi bala ka tahayyur kahan nahin ho tum kabhi tajassus-e-zohra-shikan kahan tum ho yahi kushinda-a-aada yahi hai baz-pasin tumhaara nawak-e-sar-tez main kaman tum ho mujhe tumhein nazar aate ho aur koi nahin mere liye sabhi mahjub hain ayan tum ho meri nigah mein aafaq-e-rang-o-bu lashe meri zamin wo hai jis ka aasman tum ho pas-az-hayat bhi hain kitni wadiyan baqi abhi jahan ko khabar kya kahan kahan tum ho hamein tumhaari atariya ki chhanw kafi hai sabhi ke sab hain hamare to bas miyan tum ho tumhein sunaun jo yaad aae mujh pe kya guzri ki dastan to meri mere dostan tum ho ilaj-e-pasti-e-imroz lao tab jaanen amin-e-rifat-e-adwar-e-pastan tum ho tumhein gila tha ki ek nasl-e-khwab-nak the hum so lo ki hum to chale kal ke pasban tum ho na puchhe koi to yun apne dil ko phusla lo durafsh-e-lashkar-e-farda to be-guman tum ho