ajab fareb sa wo us ka muskurana tha use to jaise faqat mujh ko aazmana tha ghazab ki baat ki tum ko bhi is zamane mein mera hi ghar tha jahan bijliyan girana tha use jahan mein koi dusra adu na mila nazar mein us ki faqat main hi ek nishana tha jo soz-e-gham se mujhe har-nafas bachata raha khayal-e-yar ki palkon ka shamiyana tha tu dil ka sada tha 'azim' tujhe pata na chala ki dil lagana yahan sirf dil jalana tha