ajab hi haal tha aawaz ka to

ajab hi haal tha aawaz ka to
ye mar jati agar main bolta to

mera saya nahin badhta hai aage
ye kahta hai agar main gir gaya to

main jaisa tha meri taswir mein kal
tumhein waisa agar main na mila to

tumhaare tabsire se tang aa kar
hamare haal ne kuchh kar liya to

daba kar to rakhunga raaz tere
mujhe phir bhi kisi ne padh liya to

tumhein bechainiyan hi mar dengi
agar main hans ke thoda mil liya to

nahin rah paoge phir tum wahan par
kaleja kat kar kuchh likh diya to

mita doge mujhe tum jaanta hun
magar socho agar main bach gaya to

nikal padte ho tum yun saj-sanwar ke
kabhi socha mujhe kuchh ho gaya to

ba-zahir jang hogi hadson ki
agar main beach mein se hat gaya to


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close