ajab maujudgi hai jo kami par mushtamil hai kisi ka shor meri khamushi par mushtamil hai andheri subh viran raat ya sham-e-fasurda mera har lamha un mein se kisi par mushtamil hai nahin mil pati koi bhi hansi meri hansi mein ye wahid ranj hai jo ranj hi par mushtamil hai chamak uthta hai ek bhula hua chehra achanak na jaane tirgi kis raushni par mushtamil hai sarab-e-khwab dekhun ya udaun khak apni ye sahra ek makan aur ek gali par mushtamil hai waraq khulte hi kitni titliyan udti hain 'shaariq' agarche bagh ek sukhi kali par mushtamil hai