ajab tilism hai nairang-e-jawedani ka ki tutta hi nahin nashsha khud-gumani ka safar tamam hua jab sarab ka to khula ajib zaiqa hota hai thande pani ka jahan pe khatm wahin se shurua hoti hai tabhi to zikr-e-musalsal hai is kahani ka kidhar dubo ke kahan par ubhaarta hai tu ye kaisa rang hai dariya teri rawani ka wo mujh mein ab bhi wahi hausle talashta hai kahan se dhund ke laen badal jawani ka