ajib baat hai bimar hai nahin bhi hai ye dil tumhaara talabgar hai nahin bhi hai hain mumkinat nihan is ada mein shokhi mein labon pe un ke jo inkar hai nahin bhi hai hai kaisa azm-e-safar kaisi chahat-e-manzil safar ko karwan tayyar hai nahin bhi hai ye apni apni samajh hai ye apna apna shuur safar hayat ka dushwar hai nahin bhi hai ye waqt waqt pe hai munhasir jo sach puchhen 'obaid' aap ka khuddar hai nahin bhi hai