ajib baat thi har sher pur-asar thahra main is ki bazm mein kal raat ba-hunar thahra hua jo aa ke wo mehman baad muddat ke lahun mein raqs hua baam par qamar thahra mumanat ka taqaza tha jis se dur rahen chaman mein wo hi shajar sab se ba-samar thahra junun ki bhik kahin bhi na mil saki us ko gada-e-hosh yahan garche dar-ba-dar thahra ajib raqs tha bismil ka har tamashai tadap ke dard se yaksar hi be-khabar thahra aqidaton ke dhundlakon mein aur kya hota har ek fiqra yahan us ka mo'atabar thahra mujhe na qatl karen bas payam laya hun meri haqiqat hi kya main to nama-bar thahra safina garche kinare pe ja laga lekin sawal ye hai idhar thahra ya udhar thahra na jaane kitni hi samten bula rahi hain mujhe har ek qadam pe hai mujh ko naya safar thahra na dekh paya koi aankh-bhar ke aaina khud apna chehra yahan bais-e-mafar thahra thahar ke jis ne bhi kuchh der khud ko dekh liya wo apni wahshat-e-be-ja ka chaaragar thahra hai jaane kitne hi pardon mein mahw-e-araish jhalak bhi dekh li jis ne wo dida-war thahra har ek shai se mohabbat hai bas ilaj yahan bas ek nuskha yahi hai jo kargar thahra shurua hua tha abhi aur qarib khatm hai ab ye zindagi ka safar kitna mukhtasar thahra