ajib haalat hai jism-o-jaan ki hazar pahlu badal raha hun wo mere andar utar gaya hai main khud se bahar nikal raha hun bahut se logon mein panw ho kar bhi chalne-phirne ka dam nahin hai mere khuda ka karam hai mujh par main apne pairon se chal raha hun main kitne ashaar likh ke kaghaz pe phad deta hun be-khudi mein mujhe pata hai main azhdaha ban ke apne bachche nigal raha hun wo tez aandhi jo gard udati hui gai hai tabhi se yaro gali ke nukkad pe baitha baitha main apni aankhen masal raha hun abhi to aaghaz hai safar ka abhi andhere bahut milenge tum apni shamen bacha ke rakkho charagh ban kar main jal raha hun