ajib karb-o-bala ki hai raat aankhon mein sisakti pyas labon par furaat aankhon mein tumhein to gardish-e-dauran ne raund dala hai rahi na koi bhi pahli si baat aankhon mein qatar-war sitaron ki jagmagahat se saja ke lae hain gham ki baraat aankhon mein phir us ko daman dil mein kahan kahan rakkhen samet sakte hain jo kaenat aankhon mein bikhar gae hain milan ke tamam din 'haidar' thahar gai hai judai ki raat aankhon mein