ajib khamushi hai ghul machati rahti hai ye aasman hi sar par uthati rahti hai kiya hai ishq to sabit-qadam bhi rahna sikh miyan ye hijr ki aafat to aati rahti hai ye jo hai aaj kharaba kabhi chaman tha kya yahan to ek magas bhinbhinati rahti hai daro nahin ye koi sanp zer-e-kah nahin hawa hai aur wahi sarsaraati rahti hai mere hi waste manzar zuhur karte hain meri hi aankh yahan jagmagati rahti hai hawa agarche bahut tez hai magar phir bhi main khak hun ye mere kaam aati rahti hai ye kaisi chashm-e-takhayyul hai unghti bhi nahin ajib rang ke manzar banati rahti hai wo ek nigah bhi neze se kam nahin yani hamare khun-e-jigar mein nahati rahti hai qadam bhi khak pe karte hain kuchh na kuchh tahrir hawa ki mauj bhi us ko mitati rahti hai