ajib rog lagaya hai jaan ke pichhe

ajib rog lagaya hai jaan ke pichhe
pada hua hun usi bad-guman ke pichhe

fuzul karti hain suraj se be-rukhi ka gila
wo kholiyan jo hain unche makan ke pichhe

khud apne chaak-e-gareban ko dekhta hi nahin
wo kaisa mulk hai hindostan ke pichhe

baha ke le gai apni qayam-gah kahan
jo ek nadi thi hamare makan ke pichhe

nazar se ahl-e-nazar ki chhupi nahin hain 'suhail'
jo pastiyan hain amiron ki shan ke pichhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close