ajib sham ka manzar dikhai deta hai jab aaftab zamin par dikhai deta hai mujhe to nil-gagan ke wirat aangan mein hasin chand pe ek ghar dikhai deta hai falak ka bojh muqaddar mein jis ke likkha ho use to chand bhi patthar dikhai deta hai jinhen bachana tha amn-o-aman ka shish-mahal unhin ke hathon mein patthar dikhai deta hai jise talash kiya aap ne zamane mein mujhe wo khud hi ke andar dikhai deta hai