Ajnabi Khauf Fizaon

Ajnabi Khauf Fizaon


Ajnabi Khauf Fizaon Mein Basa Ho Jaise

Shehar Ka Shehar Hi Aaseb Zada Ho Jaise


Raat Ke Pichle Pehar Aati Hain Awazein Si

Dur Shehar Mein Koi Cheekh Raha Ho Jaise


Dar-o-Divar Pe Chhai Hai Udasi Aisi

Aaj Har Ghar Se Janaza Sa Utha Ho Jaise


Muskurata Hun Pa-e-Khatir-e-Ahabab Magar

Dukh To Chehre Ki Lakiron Pe Saja Ho Jaise


Ab Agar Dub Gaya Bhi Toh Marunga Na Kamal

Behte Pani Pe Mera Naam Likha Ho Jaise!


Translation:

Aaseb Zadaa = haunted

Cheekh = Scream

Pa-e-Khatir-e-Ahabab = for the welcome of friends
Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close