ajnabi shahr mein pahunchun to shanasa dekhun dusra koi nahin bas tera chehra dekhun har taraf ek sa manzar nazar aata hai mujhe dasht-o-sahra ki taraf jaun ki dariya dekhun apne chehre ki bhi pahchan hai mushkil ab to aaina le ke jo dekhun to bhala kya dekhun ghar ki raunaq to utha le gaya jaane wala kyon na bikhre hue lamhon ka asasa dekhun mere andar bhi sulagte hue lamhon ki sada tere chehre pe bhi bahta hua dariya dekhun dil ye kahta hai kisi roz tu aaega zarur yahi behtar hai tera baith ke rasta dekhun mujh ko har sher teri yaad dilae 'khalid' apni ghazlon mein tere dard ka qissa dekhun