ajnabi shahr mein ulfat ki nazar ko tarse sham dhal jae to rah-gir bhi ghar ko tarse khali jholi liye phirta hai jo aiwanon mein mera shaffaf hunar arz-e-hunar ko tarse jis jagah hum ne jalae the wafaon ke diye phir usi gah pe dildar nazar ko tarse meri be-khwab nigahen hain samundar shab hai waqt tham tham ke jo guzre hai sahar ko tarse jaane hum kis se mukhatab hain bhari mahfil mein baat dil mein jo na utre hai asar ko tarse kitne mausam hain ki chup-chap guzar jate hain tere aane ka dilasa hai khabar ko tarse shabnami rakh bichhi hai mere armanon ki naqsh-e-pa tere kisi khak-basar ko tarse