ajr kya hai azab kya shai hai ye gunah-o-sawab kya shai hai tere hijran mein ye khula mujh par ruh ka iztirab kya shai hai in bahaaron ke kya maani hain titli khushbu gulab kya shai hai tera chehra hi jaanta hun main kya khabar mahtab kya shai hai dasht mein kaun mujh ko samjhae pani kya hai sarab kya shai hai zindagi be-takallufi hai miyan khud batao hijab kya shai hai barq shoala na raushni hai koi phir teri aab-o-tab kya shai hai teri aankhon se jo nasha paya jam kya hai sharab kya shai hai kya muamma hai lafz-e-uryani parda kya hai naqab kya shai hai ek 'waqif' samajh nahin aata jaane aali-janab kya shai hai