akasr is tarah se bhi raat basar hoti hai

akasr is tarah se bhi raat basar hoti hai
raat ki raat nazar jaanib-e-dar hoti hai

jis se duniya-e-sukun zer-o-zabar hoti hai
wo mulaqat sar-e-rahguzar hoti hai

thes lagti hai jahan ishq ki khuddari ko
zindagi badh ke wahin sina-sipar hoti hai

ye sapedi-e-sahar hai ki sitaron ka kafan
raat dam tod rahi hai ki sahar hoti hai

apne daman se to main ponchh raha hun aansu
daman-e-dost ki tauhin magar hoti hai

aap aaraish-e-gesu mein lage hain nahaq
fateh-e-dil to mohabbat ki nazar hoti hai

rasta roke hue kab se khadi hai duniya
na idhar hoti hai zalim na udhar hoti hai

tu nazar bhar ke sar-e-bazm na dekh un ko 'nazir'
is se ruswai-e-tahzib-e-nazar hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close