aks-dar-aks aaina taqsim ek bande pe sau khuda taqsim chashm-e-dar chashm-e-mauj mauj-e-furaat ruh-dar-ruh karbala taqsim infiradi shikar che mani chaar bazon mein fakhta taqsim khanjaron par lahu ki sad aahat sau zabanon mein zaiqa taqsim khwan le kar farishte utre the muflisi kar gai ana taqsim kholta kaun panw ki bandish har qadam pe tha rasta taqsim sans karne ki sochiye 'parwez' ab nahin hone ko hawa taqsim