aks dekha to laga koi kami hai mujh mein aaina kahta tha maujud sabhi hai mujh mein raushni phir tujhe darpesh hai ek aur safar dur tak jaegi jo aag lagi hai mujh mein karwaten le ke sahar karne ki pur-khar thakan kabhi tujh mein hai numayan to kabhi hai mujh mein koi ehsas-e-ziyan jag utha hai jaise ek uljhi si girah jab se khuli hai mujh mein subh tak jaane kahan mujh ko uda kar le jae ek aandhi jo sar-e-sham chali hai mujh mein