aks-e-raushan tera aaina-e-jaan mein rakkha hum ne taswir ko hairat ke jahan mein rakkha kaun mayus teri bazm-e-inayat se utha tere ikram ne kis kis ko guman mein rakkha koi madhosh na ho saat-e-gul-bosi mein us ne yun phul ko kanton ki aman mein rakkha wo samajhta tha ki hain sach ke kharidar bahut rah gaya mal sabhi us ki dukan mein rakkha yaad hum aa na sake jashn-e-bahaaran mein use ham-safar jis ne hamein ahd-e-khizan mein rakkha ek parinda bhi nahin ped pe baqi 'gulzar' tir sayyaad ne kis waqt kaman mein rakkha