aksar baiThe tanhai ki zulfen hum suljhate hain

aksar baithe tanhai ki zulfen hum suljhate hain
khud se ek kahani kah kar pahron ji bahlate hain

dil mein ek virana le kar gulshan gulshan jate hain
aas laga kar hum phulon se kya kya khak udate hain

mithi mithi ek kasak hai bhini bhini ek mahak
dil mein chhaale phut rahe hain phul se khilte jate hain

baadal goya dil wale hain thes lagi aur phut bahe
tufan bhi ban jate hain ye moti bhi barsate hain

hum bhi hain us des ke basi lekin hum ko puchhe kaun
wo bhi hain jo teri gali ke nam se rutba pate hain

kante to phir kante thahre kis ko honge un se gale
lekin ye masum shagufe kya kya gul ye khilate hain

uljhe uljhe se kuchh fiqre kuchh be-rabti lafzon ki
khul kar baat kahan karte hain 'baqar' baat banate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close