alag har ek fasane se hai tamhid-e-bayan meri

alag har ek fasane se hai tamhid-e-bayan meri
zamana muskura deta hai sun kar dastan meri

shamim-e-jiddat-e-mafhum hai tarz-e-bayan meri
mufakkir ban ke mahkegi chaman mein dastan meri

yaqin ki had se bahar ho chuke hain aap ke wade
idhar kuchh aur ban jaane ko hain khamoshiyan meri

junun ne to uda din dhajjiyan jaib-o-gareban ki
magar jaib-o-gareban ne uda din dhajjiyan meri

yaqinan tu hi phunk jaegi bijli munh agar moda
harif-e-barq ban jaegi shakh-e-ashiyan meri

mazaq-e-did bakhsha to shuur-e-did bhi bakhsho
tumhein dekhunga main kaise nazar aisi kahan meri

mujhi par tanz karti hai meri be-chaargi 'mahir'
ki ab to aakhiri manzil mein hai umr-e-rawan meri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close