alam-nasib sahi kuchh to muskura bhi sako

alam-nasib sahi kuchh to muskura bhi sako
sahar ke nam pe diwar-e-shab gira bhi sako

gai ruton ke gulabon si hai mahak us mein
phir us ko yaad karo dil ko gudguda bhi sako

wo itna zud-faramosh hai to kya hoga
hazar ahd agar yaad use dila bhi sako

ye kya lagaw ki hum raste ka patthar hain
ye kya gurez ki tum phir palat ke aa bhi sako

wo dil-fareb sahi kash dil-zado tum bhi
jo kab ka bhul chuka hai use bhula bhi sako

qaba-e-shab mein sulagte hain zakhm din bhar ke
lahu ki aag se kuchh raushni badha bhi sako

ye mana ek wahi qatil hai shahr mein 'sarmad'
kam-az-kam us ki nazar se nazar mila bhi sako


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close