amin-e-ghairat-e-ulfat jo zindagi hogi wo be-khudi mein bhi shaista-e-khudi hogi jo maslahat pe zarurat ko talti hogi wo zindagi nahin tauhin-e-zindagi hogi nigah kar le khud apne zamir par duniya hamara zarf to duniya bhi jaanti hogi mahall-e-sajda jahan hoga sar jhukega wahin asir-e-qaid-e-tayyun na bandagi hogi is e'timad pe har gham mein muskuraata hun hui hai sham to 'mukhtar' subh bhi hogi