amiq chheD ghazal gham ki intiha kab hai

'amiq' chhed ghazal gham ki intiha kab hai
ye malwe ki junun-khez chaudhwin shab hai

mujhe shikayat-e-talkhi-e-zahar-e-gham kab hai
mere labon pe abhi kaif-e-shakkr-e-lab hai

lakir khinchti chali ja rahi hai ta-ba-jigar
farogh-e-mai hai ki mashq-e-jarahat-e-shab hai

ye mahwiyat hai ki roab-e-jamal hai tari
khilaf-e-rasm-e-junun dil bahut muaddab hai

kabhi haram mein hai kafir to dair mein momin
na jaane kya dil-e-diwana tera mazhab hai

bahut muhaal tha warna ki dil fareb mein aae
kisi ke gham se gham-e-kaenat ki chhab hai

chaman mein phul khilati phire bahaar to kya
kisi ke band-e-qaba tutne lagen tab hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close