amiri hai na wo aalam-panahi

amiri hai na wo aalam-panahi
faqiron ki wahi hai kaj-kulahi

tabassum aa gaya un ke labon par
mujhe ras aa gai apni tabahi

kisi ka nam le kar chal diye hain
na puchho hum hain kis manzil ke rahi

kahin ifsha na kar de raaz-e-ulfat
sar-e-mahfil kisi ki kam-nigahi

kisi din rang laegi jahan mein
gunah-garan-e-gham ki be-gunahi

nasheman ke ujadne ka nahin gham
na dekhun main gulistan ki tabahi

zamane mein hue mashhur donon
kisi ka zulm meri be-gunahi

kahin roke se ruk sakti hai 'shaariq'
jo likkhi hai muqaddar mein tabahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close