amiron ke lal-o-gohar bolte hain gharibon ke ilm-o-hunar bolte hain gham-e-hijr ki ek kahani tera khat likhawat ke zer-o-zabar bolte hain namazi bano gar mohabbat hai mujh se hadison mein khairul-bashar bolte hain jinhen ilm-o-fan par takabbur nahin hai wahi aadmi mukhtasar bolte hain azan ho rahi hai meri samt aao masajid ke diwar-o-dar bolte hain 'sahar' narm lahje ka andaz chhodo yahan sirf tegh-o-tabar bolte hain