an-kahi ko kahi banana hai e'tibar-e-sukhan badhana hai mere andar ka panchwan mausam kis ne dekha hai kis ne jaana hai dugdugi hi nahin bajaani mujhe ishq ko nach bhi sikhana hai tum jo itna utha rahe ho mujhe kis kuen mein mujhe girana hai raat ko roz dub jata hai chand ko tairna sikhana hai hijr mein nind kyun nahin aati hijr ka zaicha banana hai main wo bosida qabr hun 'bedil' dafn jis mein mera zamana hai