andar ka aadmi kabhi bahar na aa saka jo dil ka muddaa tha zaban par na aa saka har lamha ashk-bar rahi hai hamari aankh mamul par kabhi ye samundar na aa saka nikle the yun to log taaqub mein be-shumar lekin koi bhi tere barabar na aa saka ai shahr-e-yar mera to daman tha chhed chhed achchha hua ki main tere dar par na aa saka khali raha hai kasa-e-chashm apna umar bhar hisse mein apne ek bhi manzar na aa saka