andheron se agar aaina-samani hui hogi badi mushkil se koi shakl nurani hui hogi charaghon ke pate milte nahin shab-gah-e-hasti mein hawa-e-sham tujh se koi nadani hui hogi nahin mujh sa koi tanha zamane mein hua hoga na aabaade mein is surat bayabani hui hogi nazar ke samne phaila hua dashtab sa kya hai yaqinan aab-zaron mein shatarbani hui hogi paron par aasmani waswase lipte rahe honge parindon se tabhi parwaz gardani hui hogi phir apna hissa lene aaj khuddari nahin aai zamin-daron se batware mein man-mani hui hogi shikar-e-sher-shor-angez un ke hath aa jae isi zid mein harifon se ghazal-rani hui hogi yun barfani hawaon se uqab uljhe agar honge to shiryanon mein bahti aag bhi pani hui hogi nikale honge jab afkar ne sheron mein gul-bute tabhi koi ghazal 'parwez' rahmani hui hogi