anjam har ek shai ka ba-juz khak nahin hai kya hai jo ye aalam khas-o-khashak nahin hai kah do wo sata kar mujhe be-fikr na baithen mere hi liye gardish-e-aflak nahin hai aankhon se har ek parda-e-mauhum hata de itni nigah-e-shauq abhi chaalak nahin hai kar chaak-e-gareban se na andaza-e-wahshat diwane abhi daman-e-dil chaak nahin hai 'simab' dua kijiye kya sabr-o-sukun ki shaista-e-taskin dil-e-ghamnak nahin hai