anjum pe jo guzar gai us ka bhala hisab kya

'anjum' pe jo guzar gai us ka bhala hisab kya
puchhe koi sawal kya laenge hum jawab kya

khun-e-dil-o-jigar se hai husn-e-khayal husn-e-fan
is ke baghair sher kya majmua kya kitab kya

tera hi nam le liya waqt-e-ishaat-e-kalam
is ke alawa aur hum dhundte intisab kya

teri hi be-rukhi se to tuta hai dil abhi abhi
ab iltifat-e-be-mahl ho sake kaamyab kya

hum to chaman chaman gae dil na shagufta ho saka
nasrin-o-nastaran hai kya lala hai kya gulab kya

tum ko bhi ranj isi se hai hum bhi kuchh is se khush nahin
aur kharab is se bhi hoga dil-e-kharab kya

'anjum' ne aankh khol ke dard-o-alam jo dekhe hain
auron ne khwab mein agar dekhe to aise khwab kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close