apna aap tamasha kar ke dekhunga khud se khud ko minha kar ke dekhunga wo shola hai ya chashma kuchh bhed khule patthar-dil mein rasta kar ke dekhunga kab bichhda tha kaun ghadi thi yaad nahin lamha lamha yakja kar ke dekhunga wada kar ke log bhula kyun dete hain ab ke main bhi aisa kar ke dekhunga kitna sachcha hai wo meri chahat mein 'mohsin' khud ko ruswa kar ke dekhunga