apna anjam-e-safar yaad aaya jaise ek shahr-badar yaad aaya hasrat-e-dil ka samar yaad aaya koi duzdida nazar yaad aaya aaj taswir jo apni dekhi ek gum-gashta safar yaad aaya baat ye aur hai jaen na udhar waise jaana tha kidhar yaad aaya jo mera aaj bana hai gham-khwar khun hua us se jigar yaad aaya mana hum us ko bhula den bhi 'zubair' aur wo bhule se agar yaad aaya